SHABBIR (a.s) Yeh Sab Duniyaa….

SHABBIR (a.s) Yeh Sab Duniyaa….

SHABBIR (a.s) ye sab dunya tere naam se zinda hai
ye deen Mohamed ka tere naam se zinda hai
allah ka bhi kalma tere naam se zinda hai
SHABBIR (a.s) ye sab….

phaili hai zamane may tauheed ke tanveere
goonji hai tere dam se kaunain may takbeere
haq is se hai payinda tere naam se zinda hai
SHABBIR (a.s) ye sab….

minni ki sanad bakshi tujhe sarware aalam ne
phir ye bhi kaha mai hoo SHABBIR (a.s) tere dam se
SHABBIR (a.s) tera nana tere naam se zinda hai
SHABBIR (a.s) ye sab….

fitrus to farishta tha hurr ko bhi aman di hai
jaan ibne mazahir ko aur deen ko bakshi hai
ye deene nabi haq ka tere naam se zinda hai
SHABBIR (a.s) ye sab….

walfijr may tu shaamil tatheer may tu shaamil
kausar ki mawaddat ki tafseer may tu shaamil
wal-asr ka bhi soora tere naam se zinda hai
SHABBIR (a.s) ye sab….

ahde nabawi alawi daure hassani ke baad
islam tane bejaan ik-sat hijri ke baad
tere naam se zinda tha tere naam se zinda hai
SHABBIR (a.s) ye sab….

bayyat bhi na le paaya sar bhi na jhuka paaya
zaalim ko kiya ruswa sarwar ne sare naiza
quran bhi ay aaqa tere naam se zinda hai
SHABBIR (a.s) ye sab….

waise to shahadat hai meeras tere ghar ki
yan asgharo akbar ki tafreeq nahi phir bhi
mafhoom shahadat ka tere naam se zinda hai
SHABBIR (a.s) ye sab….

ummi pa Mohamed ki hua shaitano ka raaj
makkah bhi madina bhi tere baad hue taraaj
ye to laaje kaaba tere naam se zinda hai
SHABBIR (a.s) ye sab….

ye jo ilm ka charcha hai SHABBIR (a.s) ka sadqa hai
ehsan tera haq par ye Sani e Zehra (s.a)  hai
ay SHABBIR (a.s) ka sajjada tere naam se zinda hai
SHABBIR (a.s) ye sab….

sarwar ki nishani ab koi bhi nahi baakhi
ek chor di jangal may ek shaam may dafna di
dukh bano-e-muztar ka tere naam se zinda hai
SHABBIR (a.s) ye sab….

saaye ki zaroorat hai na hi thande pani ki
maa kehti thi asghar ki bulwa lo mujhe wali
ye kaneez shahe wala tere naam se zinda hai
SHABBIR (a.s) ye sab….

maa ka bhi na rakha maan na hi paalne wali ka
din raat wazeefa aur noha tha ye laila ka
akbar ye teri ayaat tere naam se zinda hai
SHABBIR (a.s) ye sab….

aayenge mujhe lene ek roz mere bhaiya
phir byah racha-ungi mai shauq se bhaiya ka
akbar wo teri sughra tere naam se zinda hai
SHABBIR (a.s) ye sab….

SHABBIR (a.s) ki laqte jigar ek raat ki wo byahi
ruqsat bhi na ho payi aur bewa kehlayi
qasim wo teri bewa tere naam se zinda hai
SHABBIR (a.s) ye sab….

ashoor se zindan tak rodaad mazalim ki
tune hi sunayi hai SHABBIR (a.s) ki shehzadi
ye matam ye noha tere naam se zinda hai
SHABBIR (a.s) ye sab….

SHABBIR (a.s) ka marsiyaqan SHABBIR (a.s) ka shayar bhi
pehchan yehi hai ab tere Sibte Jaffer  ki
sab shukr tera banda tere naam se zinda hai
SHABBIR (a.s) ye sab….